The snow came as predicted. vah re America ka weather vibhag. kaha that ki paanch baje shuru hogi aur thhik paanch baje se halki halki fuhaar si shuroo ho gayi.
Aaj subah har taraf safedi, sannata.
is sardi men jab akele cognac peeti hooN to Nirmal ki bahut yaad aati है iNirmल pehli baar mere ghar isee mausam men aaye the.
' tumhari kahaniyon se hi cognac peene ka shauk shoroo hua" Maine Nirmal se kahaa. Nirmal halke se muskara diye.Baahar andhera aur baraf, andar roshni glass table par do gilaas aur do lekhak, jinki atmeeyata aur mutual admiration ek doosre tak hi seemit thee जैसे की अष्पके घाव को कुरेदने . Koi teesra bhagidar nahin tha. Nirmal shaayad mujhse voh sab kahte the jo unhone kabhi kisi se share nahin kiya hoga.Unhone meri bhi akeli zindagi dekhi thee.
Chalte vakta Nirmal ne kaha thaa, kisi doosre par aapne ko itna kharch mat karo ki tumahre paas apna kucch na bacche.
Lut jaane ki yaatna, shayad ek lekhak ke liye bahut zaroori hoti hai.Usee se create hui Antarvanshi, aur Nadi.
Ab kewal baahar snow aur sannata. CD player par classical vadyoN ka swar, kabhi Vilayat Khan to kabhi PannaLal Ghosh.
Lekhak ke liye apne ander crawl karna,sabse kat kar ek akelepan meN create karna, bahut zaroori hai. Ajkal, is mausam men yahi kar rahi hooN. Is varsha Bhaarat nahiN gayi, apna antim upanyas poora karna hai. Antim kyoN. Iske baad kuchh aur, kuchh naya? Kavita? HA , HA, HA

No comments:
Post a Comment